Hamare Beete Din……………………………… Poem by sonali kumari

Hamare Beete Din………………………………

Rating: 3.5


Skool ke vo anmol pal, chah kar bhi na bhul pate hum, vo jo khele the hum attkeliyaa, ek dusre ko chidakar, kuchh hassi ke pal banana| vo doston ki khatti meetti baten, kaksha chalte waqt kuchh shararte, pariksha ke din vo chahre pe ghabrahate| ek dusre ke sapno ko, pal bhar me jee lene wali baten| chutkiyon me samundr paar kar, lene jaisi himmat| has-has kar pet fula, lene jaisi khali- waqt ki wo attkeliya| shikshak ke aate hi wo maasumiyat, jaise hum ne kuch kiya hi nahi| hum ladte - jhagadte bhi the, ek dusre se rootthe bhi the, par agle hi pal khil-khila utthe| doston ki kitabon ko chhupa, dekhna unka pareshan chehra, yaad atha hai aaj wo bahut jyada| chhup - chhupke kaksha me, nind ki jhapkiya lena, pakde jane par sir- 'feeling not well' ka bahana banana| hai itni sari yaade, likhu kya aur kaise wo bate, kuchh na samajh mai aaye, bas hasi se hont muskhuraye, khushi se dil khil-khilaye, jab bhi wo pale yaad aaye| ji kare tod lau waqt- ki shak se wo pale, jeelu fir use jee bhar, jane na doo door use fir, tham jaye wahi waqt kuchh pal! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

Tuesday, April 28, 2015
Topic(s) of this poem: real
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success