Hamara Pyara Sutta (For Ciggerete Lovers) Poem by asheesh sharma

Hamara Pyara Sutta (For Ciggerete Lovers)



This poem is dedicated to all Smokers of MBH (all 4 floors) ...
I on the behalf of all smokers expressing the feelings of all suteriyes of SIMS



Topic for today's discussion is 'HAMARA PYAARA SUTTA'! ! !

mujhe yaad aayengi wo hostel ki batein
wo adh-hosh din wo madhosh raatein

uthkar sabere wo fir se so jana
classes ke time par wo aalas dikhana

hosh me aate hi wapas nashe ki khoj me chale ham
wo sutte ki taalaash me dar dar bhatakne chale ham

baali ki cupboard se atif ke takiye tak
raamu ki chaukhat se pal ke darwaje tak,

407,408,409 me puchne ke baad hamne toh milne ki ummid hi chodd di
timsy 1st year me lifeline hua karta tha magar ab toh usne bhi chodd di
(ab kyun! ! yeh bhi main hi batau)

thak haar kar baith gaye magar sutte ka khajana na mila
aisa laga jaise javani me jine ka fasaana na mila

par ham himaat naa haare.........

daale jeb me 20 rupaye aur piche tapri ki oor chale
piche se thulle(atul) ne kaha,
cooler se paani na lene jaane wale aaj paidal kaise chale

magar ye sutte ki lalak toh peene waala hi jaane hai
sahi kaha gaya hai, adrak ka swaad ye bandar kya jaane hai
(Translatesss.....Wat d monkey knows about the taste of ginger)

4 floor utarte utarte 4 aur log shaamil ho gaye hamari race me
piche ke gate se nikal pade hum apne apne pace me


Na bournvita, na complan, aur naa redbull itni energy de paega
buzurgo(tribhuwan and vijay chacha) ne kaha hai
'sutta maarne se mara hua insaan bhi bhi zinda ho jayega'

subah ka pehla kash lete hi swarg pahuch jaate hain hum
saare gamo ko bhul kar sutte ke dhue me kho jaate hain hum

2-4 saal kam bhi jiye toh kya gam hai
2-4 bimariyan ho bhi gayi toh kya gam hain
jitne din jiyo toh aish ke saath jiyo
haath me sutta aur pocket me cash ke sath jiyo

ek yahi toh hai jo har sukh dukh ka saathi ban jaata hai
aur ye saathi 5 rs me kisi bhi tapri me mil jaata hai

girlfriend saath chod gai magar is sutte ne na choda
bahot baar koshish ki maine magar is kutte(no offense) ne naa muh moda

isse 1 din ki bhi doori bhi bardassht nahi hoti hai
bhala hai aur koi aisi 'balaa' jo tumhe itna pyaar deti hai

akele peene me kya maja hai doston ke saath piya karo
swarg me bhi bore hi hoge isliye doston ko saath lekar maro

non-smokers sochte honge ki ye aisi bhi kya balaa hai
paise udakar khud ko maarne se naa peene me hi bhala hai

ab ham kya bataye ki ham bhi kabhi aisa sochte the
sutta maarne walon ke paas jane se bhi khud ko rokte the

ab main tumhe samjhaata hu ki ye kya bala hai
sutta maarne ka ye fashion aaj kal kyu itna chala hai

jaise pyar me naa padne walon ko pyar samajh me nahi hai aata
aur hone ke baad sab kehte hain 'kiya nahi jata yeh toh hai ho jata'

hone ke baad ka mazaa toh shayad ham sabko pata hi hoga
naa ho baat agar girlfriend se toh uska dard bhi sahaa hi hoga

aisi premika kaha milegi jo har waqt kiss dene ko taiyaar rahe
Na ruthe, na bhage aur jab tum chaho khud ko jala dene ko taiyaar rahe

ab samajh lo meri baat agar aayi ho samajh me toh
na karo bair sutte se agar pyar nahi kar sakte ho toh



Written by:
Asheesh Sharma
Batch 2008-10
Symbiosis Institute of management studies

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success