Gulzar-E-Wakt (Introduction) Poem by Ahatisham Alam

Gulzar-E-Wakt (Introduction)

Jal raha hai yaha aashiyana kisi ka,
Fir bhi log usko hawa de rahe hain.
Mar raha hai mareez dard e dil ka magar,
Habeeb uske maut ki dawa de rahe hain.

Ajeeb hai afsana nigaaron ke kalam ki sada
Ajeeb hai shayeron ke mazhar e gham ki adaa
Zindgi talkh ehsas hai aur iska mijaaz sakht hai
Hr din ek khaar hai magar zindgi 'Gulzar E Waqt' hai.

Monday, April 7, 2014
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success