Ghazal-Woh Jo Bas Peyaretthey Ab Peyar Hhuwe Jate Hain Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Woh Jo Bas Peyaretthey Ab Peyar Hhuwe Jate Hain

Rating: 5.0


Aur hain koi jo sarshar huwe jate hain,
Hum to bas yun hi gunahgar huwe jate hain.
Bebasihaye muhabbat ke mile gham jinse,
Wohi monis wohi gham khawar huwe jate hain.
Irtaqa ishq ka keya jane khilae keya gul,
Wo jo bas peyare they ab peyar huwe jate hain.
Tumne acha na kiya meri tamanna keyun ki,
Aaj hum apne talabgar huwey jate hain.
Jism ke ghao to bhar sakte hain lekin aiy dost,
Rooh ke zakhm giranbar huwe jate hain.
Jan aur dil tabahi to koi cheez na thi,
Apne afkar bhi beemar huwe jate hain,
Itni arzan to nahin jins-e-muhabbat yaro,
Lo yeh Akhtar bhi khareedar huwe jate hain.

Friday, April 18, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
An old Urdu ghazal.
COMMENTS OF THE POEM
Khalida Bano Ali 12 November 2016

Khoobsoorat ghazal...................................................................

0 0 Reply
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

jabardast+shandar nazm............................

0 0 Reply
Ramesh Rai 20 August 2015

Jism to beek gayee nas jaan aur abroo rah gayee varna hum bhi raaste ka patthar ban kab ka thukraye jaate.Thanks for sharing. Regards.

1 0 Reply
Khalid Saifullah 08 January 2015

Zabardast nazm hay..................10

1 0 Reply
Khalid Saifullah 08 January 2015

Zabardast nazm hay..................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success