Ghazal-Roshni Ko Maut Aai Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Roshni Ko Maut Aai

Rating: 5.0


Khuloos-o-mehr mite dosti ko maut aai,
Yeh kaisi aag lagi roshni ko maut aai.
Woh jazba jisse haseen lag raha tha aaina,
Kahan geya ke meri dilkashi ko maut aai.
Woh kaun tha woh kahan ka tha bolta keya tha,
Keya itna kafi nahin aadmi ko maut aai.
Main rahggeer tha ek bezarar sa shahri tha,
Main kab mara hoon meri bebasi ko maut aai.
Woh barson sath raha nam tak na poocha kabhi,
Mere pados men ek ajnabi ko maut aai.
Tu qatl karne chala tha to mar raha tha khud,
Tu baz aaya agar khudkushi ko maut aai.
Na jane kaun kahan paye tere lasheh ko,
Yeh koi bhi ho utha aadmi ko maut aai.

Tuesday, April 8, 2014
Topic(s) of this poem: grief
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Religious extremism has resulted in daily killings at Karchi
COMMENTS OF THE POEM
Khalida Bano Ali 15 September 2016

Ek Khoobsoorat ghazal...............................................

0 0 Reply
M Asim Nehal 23 September 2015

Masha Allah.............These two lone of your nazam is my favourite: Woh barson sath raha nam tak na poocha kabhi, Mere pados men ek ajnabi ko maut aai.

1 0 Reply
Khalid Saifullah 12 February 2015

Bahut Khoob...........................................10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success