Ghazal-Khudshanasi Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Khudshanasi

Rating: 4.8

Khudshanasi khuda shanasi hay,
Aagahi phir bhi kitni peyasi hay.
Phir muhanbbat ki yad aai hay,
Jazba taza hay rooh basi hay.
Phir dhamaka huwa hay jane kahan,
Har taraf chayee ek udasi hay.
Log lashon ko raundte bhage,
Badhawasi si badhawasi hay.
Khudkushi, qatl, Jannaton ki talab?
Bat choti si hay zara si hay.!

Wednesday, May 21, 2014
Topic(s) of this poem: suicide
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Islam says one who commits suicide will go to the hell.
COMMENTS OF THE POEM
Khalida Bano Ali 06 October 2015

Ek khoobsoorat ghazal hay bahut pasand aai........................

0 0 Reply
Khalid Saifullah 12 February 2015

A thoughtful Ghazal........................10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success