Ghazal - Chaman Me Kaun Se Hangam-E-Rang-O-Bu Na Huye Poem by Dr. Alim Usmani

Ghazal - Chaman Me Kaun Se Hangam-E-Rang-O-Bu Na Huye

Chaman me kaun se hangam-e-rang-o-bu na huye,
Magar jo chaak gareban the wo rafu na huye.

Wahi ki rasm-e-mohabbat thi munhasar jin par,
Wo masale kabhi mauzu-e-guftugu na hue.

Hm apne qatl ka ilzaam kiske sar rakhen,
Kisi ke haath bhi aalooda-e-lahoo na hue.

Gurez kyun na karen log sarfaroshi se,
Shaheed-e-rahe-e-wafa bhi to surkhru na hue.

Jo muh pe mal ke phire Ghaza-e-Tarraqi-e-fan,
Wo khaak MEER k qadmo ki bhi kabhu na hue.

Bache rahe wo sada uljhano se jo ki ALEEM,
Aseer-e-halqa-e-gesu-e-mushkbu na hue.

Friday, March 20, 2015
Topic(s) of this poem: love,love and art,urdu
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Dr. Alim Usmani

Dr. Alim Usmani

Qasba Kursi
Close
Error Success