Ghazal - Ab Jam Nigahon Ke Nasha Kyno Nahi Dete. Poem by Dr. Alim Usmani

Ghazal - Ab Jam Nigahon Ke Nasha Kyno Nahi Dete.

Ab jam nigahon ke nasha kyno nahi dete.
Ab bol mohabbat ke maza kyno nahi dete.

Tum khol ke zulfon ko uda kyno nahi dete.
Tum shan ghatano ki ghata kyno nahi dete.

Hai muntazir-e-hashr bahot der se dunya.
Ghunghroo tre pairon ke sada kyno nahi dete.

Ye dhoop rahegi to ye ruswai karegi.
Sooraj ko gunahgar bujha kyno nahi dete.

Tum doosre logon pe na rakha karo ilzam.
Har baat me tum meri khata kyno nahi dete.

Qatil ka hai kya nam ye sab pooch rahe hain.
Kya ham bhi hain ham nam bata kyno nahi dete.

Tum ko mre andaz-e-wafa se hai shikayat.
Tum mujhko wafa kar ke dikha kyno nahi dete

Jo log ALEEM apni jagah MEER bane hain.
Ashaar ko wo tarz-e-ada kyno nahi dete.

Sunday, March 29, 2015
Topic(s) of this poem: love,love and art,love and life,urdu,women
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Dr. Alim Usmani

Dr. Alim Usmani

Qasba Kursi
Close
Error Success