Ghazal 1 (Urdu) Poem by Fatima Obaid

Ghazal 1 (Urdu)

mujhay dekha tou samjhou khud ko dekha
jo Khuda ko dekha tou phir kisi ko na dekha
mehfaaley Ishq mein jo lia naam tera
nazrein unki jhukein sarkahrou mein howa
raab-e-kainaat kae lia choora sab ko
sirf usy kae kae liye mitaya apni ana ko
uski raza ki talaash mein dar badr ghooma tha
aik thookary waqt nae mitaye gumshudgi meri
apni zaat sae hazaroun shikway hain mujh ko
sab kuch jaan kar bhi Q anjaan bana
apny wajood ko pak kia nehla kar
teri barish-e-karm mein
Jo tujh ko paya tou sab kuch paya
jo tou razi tou kia kary ga sheatani? ? ?

Saturday, October 18, 2014
Topic(s) of this poem: God
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
one of my ghazal on Ishaq-e-haqeeqi
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 20 October 2014

Kheyalat ache hayn magar ise ghazal nahin kah sakte. Yeh ek azad nazm hay. Main tafseelat yahan likhne ke bajae ek meesage mein tumhein bhej doon ga. Tum umr mein merei nawasi ki jaisi ho. Chaho to upload karne se pehle kisi buzurg shayer ko apni nazm ya ghazal jo kutch bhi ho bhej kar islah karwa liya karo.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success