Gazal Haal-E-Dil By Deepak Kumar Deep Poem by Deepak Kumar deep

Gazal Haal-E-Dil By Deepak Kumar Deep



Gazal: - Haal-e-Dil



Haal-e-dil apna gairon se sunaya na karo
Dard hai gar dil mein, chhupaya na karo

hain sabhi gair yahan apna na koi yaar hai,
Bewajah rishte yahan banaya naa kao

Mumkin nahi hai rah me sabko sambhalna,
Gar uthha sakte nahi giraya naa karo

Aankhon me chubhti hai duniya ki khushi kyun,
Aise kisi jazbaat se sataya naa karo

Shukra hai khuda ka jo nawaza hai issi ne,
Heere rahmaton ke gawayan naa karo

Daman bhara hai isne(Khuda) mere mangne se pahle,
Deep ispe tohmat bewajah lagaya naa karo

Hard Word's-

Nawaza- Kabil, Layak(Bestow or Confer)
Rahmaton- Kripa(Grace)
Tohmat- Lanchhan(Blame)

Written By

Deepak Kumar 'deep'
Editor
New Delhi
10.10.2012

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Zindagi me doosron se mangne par log ya to uska mazak udate hain ya haste hain, par jo log Khuda se mangte hain Khuda unhe malomal kar deta hai duniya ke sabhi daulaton se.Isliye jab bhi mango logon ke liye bhala hi mango aur khuda se hi mango kyonki ye hume bina bataye hame hamari aukaat se jyada deta hai.

I wrote this Gazal with blessing by Nirankari Baba Hardev Singh ji Maharaj.

I am Inpired by NIrankari Baba Hardev Singh ji maharaj.
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success