Fiza Me Tairtay Rahtay Ho Tum Khabar Ki Tarah Poem by Shamim Hashimi

Fiza Me Tairtay Rahtay Ho Tum Khabar Ki Tarah

Fiza me tairtay rahtay ho tum khabar ki tarah
Mai ik kinaaray pada hu shikasta par ki tarah

Chahal pahal nahi koi na zindagi ka nishaN
Mera wujood hai tanha udaas ghar ki tarah

Ameer-e-shahr ne shak ki nigaah se dekha
Gareeb-e-shahr hai hamraah hamsafar ki tarah

Tu aik manzil-e-mohuum justjoo mai teri
Mera wujuud hai sunsaan rahguzar ki tarah

Har aik lamha har ik pal bikhar raha hia wujuud
khizaaN ki dhuup me jhadtay huwe shajar ki tarah

wo aik lafz saraapa hai raat ki suurat
ham aik maani-e-beparda haiN sehar ki tarah

tumhiiN kaho ki tumhaiN log kya kahengay 'Shamim'
khabar ki dunya me rahte ho bekhabar ki tarah

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Shamim Hashimi

Shamim Hashimi

Sasaram
Close
Error Success