Ek Phool Poem by ramesh rai

Ek Phool

Ek Phool
Main chun laya hun
Wah tumhare vaste hai
Inki pankhuriyan ati komal hai
Lekin tumhare hoth inse bhi komal hai
Ye ati saundarya ki paribhasha hai
Auri tum us paribhasha ki byakhyay
Ye ati madak hai
Lekin tumhari madakta asim hai
In phoolon se puchho
Bhauren inhe pyar karte hai
Ya ye bhauron ko pyar karte hain
Mera biswas hai
Dono ek dusre ko pyar karte hai
Jaise main tumhe pyar karta hoon
Aur tum usse bhi jyada mujhe
Kyunki bhauron ka astitwa phoolon se hai
Aur tumhara astitwa mujh se
Jaise parmatma ka astitwa aatma se hai
Ye chahat hi hai jo ek dusre ko
Kareeb kheench kar laate hai
Jaise ek sunder si ladki baithi hui thi
Ek budha gaya
Lekin kisi ne kisi ko nahi dekha
Phir ek yuvak gaya
Dono ek dusre ko dekhte rahi
Phool to tumhari paribhasha hai
Atah ek phool laya hoon
Jo sirf tumhare vaaste hai.

COMMENTS OF THE POEM
Kumarmani Mahakul 16 September 2015

Inki pankhuriyan ati komal hai Lekin tumhare hoth inse bhi komal hai Ye ati saundarya ki paribhasha hai Auri tum us paribhasha ki byakhyay Ye ati madak hai Lekin tumhari madakta asim hai..........amusing expression. Thrilling one. Thanks for sharing. .....10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success