Ek Paigaam Deshwasion Ke Naam. Poem by Tapashya Das Sinha

Ek Paigaam Deshwasion Ke Naam.

Rating: 2.8


Aye mere deshwasiyon…
Ho kya gaya hai aap sab ko? ? ?
Kya aap susth ho?
Ya apne hi desh se rushth ho? ? ?
Chup na raho..
Aapki khamoshi kehti hai ki
Aap, deshdrohion k sath ho…
Kya aap sab ne prn liya hai?
Ki ab se hamare apne bhi pirdit ho..
Aaj hai wo din,
Veenitee hai aap sab se,
Neend se jago,
Aur Rajghat me soye hue lahu ki
Sahi keemat do…

Aaj bhare parde hai,
Har gali me,
Shaitanon ki toil,
Jo uthne na de hum betion ki doli…
Kyu charhate ho sherawli pe ordni?
Jab fardni hai apne hi maa-bahano ki chunri….

Agar aap buzurg samajh gaye hote desh ka mamla,
To na hoti har roz ye aatanki haamla..
Aaj ye pramarn hai,
Diye gaye kurbaniyan vyarth hai…
Gyar to gyar the,
Per aaj apne v gyar hai..

Kaun kehta hai isse azad Bharat?
Jahan jhel rhe hai hum har roz, har pal,
Ek khauf ka qayamat..
Itihas gava hai,
Kabhi ye shareefon ka basera tha,
Aaj luteron ka basera hai…
Yu hi aankhe bandh rakhoge to,
Pura duniyan andhera hai..
Insaano k kartoot ka insaan khud shikar hai,
Hote peerdit to kehte duniya bekar hai…

Kuch insaan rupi haiwan hai bhare parde,
Jinke karan ek aam insaan,
Har roz, ek chowrahe par hai mare parde..
Jo peerda us peerdit ne sahi,
Kya uske zimmedar hum nai? ? ?

Sukoon se baitha insaan
Ye kyu nai sochta?
Ki door, koi hai,
Sarhad per baitha,
Jo har pal, har lambha
Apni akhri pal hai ginta..
Har saal hum manate,
Kabhi holi to kabhi diwali,
Kya kisi ne socha hai?
Kaisi hoti hogi jawno ki
Khoon ki holi aur goli-barud ki diwali..
Aye mere desh k nagriko
Yu hi na jane do
Unki balidanon ko khali..

Aaj is dehshat k duniya me
Sapne bhi sapne hai,
Har chalakte ansoon,
Har tapakte lahu ki
Vajah v hum hai..
Aaj agar hosh me hote hue v
Hum Gandhiji k Bandar hai,
To majburan khooni v hum hai..

Burai ko jard se ukhado,
Annyaye ka virodh karo, kyu ki desh ke wasi v hum hai….

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success