Ek Moti Poem by sona sharma

Ek Moti

ek moti
Aaj fir teri yaad ka ek moti
Boond bankar meri aankhon mein tairta raha
Fir palkon tak aakar ruk gaya
Aankhon ke samne atka raha
Fir Palkon per aaa kar atak gaya.
Jhilmilata hua palkon se chalkar
Gallon ko sehlata hua honthon ko chomta aaghe chala
Mere hath per aaa gira

Fir ek khamoshi ka alam gujra
Dil mei ek tees ka tuffan utha
Jaise badal garze n bijli chamki ho…
Fir ek aur moti….
Aur ik our moti
N ek aur moti….n bahut se moti…..
Fir jaise sailaab aaya do nehro mei…
Sath sath behti rahi, bina ruke, , bina thamey..
Is tanhai mein..chupe chupke behti rahi……
Fir ek dum se sookh gayi….
Jaise sab ruk chukka ho
Vatavarn nirmal ho…
Sirf n sirf sannata ho..
Teri teekhi baat ka who alam, who jaljala
Jisko is behti dhara ne baha diya ho…. Mita diya ho
Fir tum wahi ho.
Tumhari batein wahi hai
Fir mai wahi hu
Mera pyar wahi hai
Fir hum wahi hain

Ek sailab aaya n chal diya
Bass kuch viraniya chhor gaya ho

Teri yaad ka ek moti
Ek toffaan
Ek jaljala
Aaya aur chala gaya
Bass bahut kuch sath le gaya

Bass ek moti
Who ek moti

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success