Ek Ladke Ka Azm Poem by Akhtar Jawad

Ek Ladke Ka Azm

Rating: 4.8

Main to abhi ek ladka hoon,
mere bazoo abhi kamzor se hayn,
lekin mera zehn abhi se
keya keya sochta rahta hay.

Meri aankhon mein khawab suhane hayn,
wuh aane wale zamane hayn,
main chupke chupke sochta hoon,
door kahin ek ladki hay,
kalion ki tarah jo pawan hay,
aur kes mein jiske sawan hay,
jab bhi kabhi wuh hansti hay,
wuh barkha ban ke barasti hay,
phoolon ki tarah wuh mahke gi,
wuh itne rang bikhere gi,
wuh itni khusboo samete gi,
jab phool banegi aur uske,
yeh rang chaman mein phailen ge
yeh khushboo dilon ko choo le gi,
jab charche uske phailen ge,
ek boodhi aurat pooche gi,
yeh ladki kahan per rahti hay,
main isko dekhne jaoon gi,
gar wuh itni sunder hay,
use apne ghar le aaon gi.

Main to abhi ek ladka hoon,
mere bazoo abhi kamzor se hayn,
wuh achi ladki jo jane kahan,
mere sapnon mein khoi rahti hay,
us ladki ki khatir yeh azm mera,
mujhe acha ladka banna hay,
mujhe padhna hay mujhe likhna hay
mujhe uske qabil banna hay.
Bhala main kayse yeh dekhoon ga,
uski gulabi hatheli jismein,
mere nam ki mehndi rachti hay,
wuh pheeki dikhe badrang si ho,
bhala main kayse yeh chahoon ga,
jin aankhon mein mere sapne hayn,
un aankhon mein aansoo aa jayen.
mujhe uski gudaz si bahon mein,
apne bache dekhne hayn.

Main to abhi ek ladka hoon,
mere bazoo abhi kamzor se hayn,
zara aane do meri jawani ko,
kutch batein hayn khud se samajhne ki,
na kahne na batlane ki.
Mere hathon mein meri qismat hay,
main inmein phurti bhar doon ga.
Meri bahein abhi kamzor sahi,
main inmein chusti bhar doon ga.
Main cheer ke sagar ka seena,
wuh seep nikal ke laoon ga,
jismein peyar ka moti ho.
Main paharon ko tod ke rakh doon ga,
main sangemamar laoon ga,
aur aysa ghar main banaoon ga,
jis ghar mein koi gard na ho,
jahan farsh pe bache khelen aur
un bachon ke kapde maile na hon.

Main to abhi ek ladka hoon,
mere bazoo abhi kamzor se hayn,
phir inmein taqat aaye gi,
main mehnatkash hoon mehnat se,
is ghar ko bharoon ga khazanon se,
sab dekhen ge isko bahanon se,
aur jab mere bazoo dobarah phir,
paththon ke dard se tadpein ge,
ghutnon ka dard rulaye ga,
main kahoon ga janan jata hoon,
tum meri yad mein mat rona,
in bachon mein,
bachon ke bachon mein,
bas mujhko dekhti rahna tum.
Jab darde judai had se badhe,
tum mere pas chali aana.

Saturday, August 27, 2016
Topic(s) of this poem: determination
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 28 August 2016

wah...wah bahi wah....kia soch hai....kia khayalath hai...bus us kee haqeeqth pehchanne me pareshan hun...ki iska aakhir kia majra hai...beher hal bahuth mazaa aaya padhne me.....

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 28 August 2016

What an amazing poem! ..............................................

0 0 Reply
Rajnish Manga 28 August 2016

Through this amazing poem the poet has tried to look into the mind of a young boy to take stock of his romantic vibes about a beautiful girl whom he fancies as his future bride, makes a commitment to himself, and about how his later life would turn out to be. What an incredible narrative you have come up with. The impeccable use of Hindi language in this Nazm makes it awesomely outstanding piece of poetry. Thanks. I quote a few lines: door kahin ek ladki hay, (दूर कहीं इक लड़की है) kalion ki tarah jo pawan hay, (कलियों की तरह वह पावन है) aur kes mein jiske sawan hay, (और केश में जिसके सावन है) us ladki ki khatir yeh azm mera, (उस लड़की की खातिर है अजम मेरा) mujhe acha ladka banna hay, (मुझे अच्छा लड़का बनना है) -&- जब दर्द-ए-जुदाई हद से बढे / तुम मेरे पास चली आना

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success