Dua! ! ! Poem by Shahzia Batool

Dua! ! !

Rating: 3.9


teray chehray pay mein gul rang nazaaray dekhun
muskurati hui aankhon mein sitaray dekhun

maand na hon kabhi chehray pay khushi ki kirnen
teri nazron mein hama waqt sharaaray dekhun

yeh dua he teri raahon mein bhanwar na ho koi
teri nao ko mein darya k kinaaray dekhun

teri khatir mein Khuda say yeh talab karti hun
jis qadar dost bhi dekhun wo tumhaaray dekhun

apnay bandhan pay kabhi bhi na koi aanch aey
iss jahan ko teri chahat k sahaaray dekhun

raat andheri ho ya pheli hui mahtab shaben
aasman per teri taqdeer k taaray dekhun

jis dagar per teray jaanay ka guman ho jaey
uss dagar ko na kbhi khof k maaray dekhun

teri aamad ka pata inn se hi lug jata he
mein badaltay hue mosam k ishaaray dekhun

azal say behtey huay jharnon ki maanind Batool
dosti k sada behtay hue dharay dekhun...

COMMENTS OF THE POEM
Ramesh Rai 15 October 2012

bahoot khub. bahut sunder.

4 0 Reply
S.zaynab Kamoonpuri 30 October 2012

Wah urdu me bhi likti hayn ap! Bohot mashallah khoob nazm hay yar behen.

1 0 Reply
Wahab Abdul 21 November 2012

very nice Dua.......... i like it

1 0 Reply
Akhtar Jawad 23 June 2014

Yeh ek bahut achi aur khoobsoorat ghazale musalsal hay. Bahut pasand aai.

0 0 Reply
Muhammad Ali 07 January 2014

aapi, ye ek achi ghzal hy, jis ka nam Dua hy. Positivity plus friendship plus best wishes is equal to Dua.

0 0 Reply
Passionate Reader 02 July 2013

This is a cute DUA showing your true feelings for your friend and presenting you as a true loving friend. apnay bandhan pay kabhi bhi na koi aanch aey iss jahan ko teri chahat k sahaaray dekhun It's heartwarming and extremely exhilarating! ! ! azal say behtey huay jharnon ki maanind Batool dosti k sada behtay hue dharay dekhun... lovely! ! ! :)

0 0 Reply
Farah Ilyas 30 May 2013

boht khob sis.. Us Zaat ke rehmto se muzain rahe teri zindagi.. koyal ke tarah hmesha tjy chehchate deko...aamin..

0 0 Reply
R.j. Wynn 19 May 2013

I love your rhythm here for sure.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success