Doobtha Kashthi Poem by Shrini Deewana

Doobtha Kashthi

Ek Doobte hue Kashthi ko bachaya hain tumne,
Ek ujadi hue jeevan ko gulshan banaya hain tumne,
juda na honge tumse jeevan bhar o sanam
yeh khate hain hum kasam, yeh khate hain hum kasam.
Milenge ek din hum tumse, yeh yakeen hain mujhe,
bas usi din ke intezaar mein, saanse chal rahi hain sanam

Jee ghabratha hain yeh sochke ke kya hota
agar aati na tum jeevan mein meri
kaise in khushiyon ko mehsoos kar pata
agar milti na tum mujhko sanam
tumne hi sikhaya hain hasna mujhe,
Warna yeh jeevan udhaas thi sanam

Ab rahoonga kaise tumse door ek pal bhi mere sanam
Dil dhadak thi hain tumahari hi yaadon mein sanam
Jab se tumahara pyaar paya hoon sanam,
Deewana sa ho gaya hoon sanam
Aankhon se neendh ho gayee hain gum sanam
Dil bechain ho gaya hain sanam

Chahe zindagi mein ho khushi ya gham,
Chahe yeh duniya bhi ban jaye hamara dushman sanam,
Chahe khuda bhi humein alag karne ki soche sanam
Chalo khate hain hum saath saath ek kasam,
Kabhi ek duje se juda hoge na hum
Kabhi ek duje se juda hoge na hum

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success