Dil Poem by ramprasad patro u

Dil

Kuch bolta hai dil tera karle haal e dil se pursish
Tu sabse chupke chupake karle thodi si khwahish
Khamosh hoke bhi muskurale
Aur tere awaaz se saaz phailade
Kar le dil se dil ki aajmaaish
phir naa bache dil main koi ranjish

Tere alam pe tujhe hansi na aaye
toh kya jawaan hai
Roz yehi puchta hai kya yehi zindagi hai,
toh phir tu kahaan hai
beete qisse tu naa dohra,
zara sa kaafir hone main kya gila hain
tere kissein dohrayi jaaegi,
afsurdaai toh kuch palo ka silsila hain

Zindagi ke kai pehlu hai,
Pehluon se kyon kare taubai
Chehron ke saazishein main khona
kya dilo ko hai raas aayi
Apne dil se bas karle tu wafaai
Aur dil se zara dil ki aajmaaish
phir naa bachegi dil main koi ranjish

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success