Darya Poem by iqtidar javed

Darya

Rating: 5.0


Keekar kay pairoN nay
loo kay thapairoN nay
dharti kay baitaab seenay say
sarsabz darya ke moorat ubharnay nahee de
manoN mitti kay neechay
bayshakl taudiN'
siya rang paudoN kay hamrah
din kat ta hooN
guzargah e sad rang aankhoN MeiN basti hay
geelay kinaroN pih pairoN kay neechay
doaabay kee mehkar urti hay
darya kay geelay kinaroN pih
tehzeeb palti hay
uploN kay phooloN kay ooper
dahaktay taway heiN
dahaktay taway par
chhanaktay huay surkh hathoN kee
chamkeelay poriN heiN
tehmad kay phatoN meiN
abraq see raanoN kee
rangat chamkti hay
gehray salonay samay heiN
falak kay sitaray heiN
pairoN pih peengiN heiN
peengoN kay lambay hularay heiN
chaadar meiN malfoof
madham nishanoN meiN madhosh rehta hooN
Darya hooN
ik sail e mehboos hooN
aur
andhay bahao kay andhay tassawar meiN behta hooN!

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
iqtidar javed

iqtidar javed

Bashahpur Mandi Bahauddin Pakistan
Close
Error Success