Dard Ka Lamha Poem by Sumit Ojha

Dard Ka Lamha

Wo lamha kesa tha
jo yad bankar rah gaya
tum ko ab chahne ka
kisi or ko haq mil gaya

sahma hua waqt bhi
jab dard de kar chala gaya
pyar ki es kasti par
sirf hume akeela kar gaya

rok na saka es tuffan ko
tut kar bikhar gaya
chalta hua samay bhi
bus tham sa hai gaya

pyar karne walo ko
hamesa dard hai kiya
es raste par chalkar
bus kato se yu bhar diya

na karenge pyar kabhi
dil ye bohat thak gaya
khud ko sambhalne ke leye
daru bhi kam pad gaya

de kar mujhe zakham
tumhara ghar to bas gaya
kai devdas ke tarah ye
humko tanha kar gaya

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success