Dard E Insaaniyat Poem by Aftab Alam

Dard E Insaaniyat

Rating: 5.0


Dil tutne ka gham nahin hai,
Ankhen yun hi nam nahin hain,
Mar-mar ke jee rahaa hun,
Lahu khud ka pi rahaa hun,

Ek khauf hai, bhai hai,
insaniyat ka ye kaisa lay hai,
Ye kaisa shai hai,

Ham khud se khud ko kyon marte hain?
Apne andar haiwaan kyon palte hain?
Ham maut ke parche kyon baanTte hain?

Haan, mujhe jab ki ye maloom hai-
Duniya ba-raahe deen,
Deen siratalmustaqeem hai,

Ham itne teekhe itne namkeen kyon hain?
Deen waale itne bad-deen kyon hain?

Koi ruthta to mana leta,
Koi girta to bachaa letaa,

Khud ki najron se jo gira ho,
Use kaun uthata hai?
kaise kah dun ki hamara kya jaata hai,

zindagi jitni bhi mile kam hai,
ankhen yun hi nam nahin hain
Dil tutne ka gham nahin hai,
Hidayat ka talabgaar hun,
Khidmate khalq ka pairokar hun,
In alfazon me ab dam nahi hai,
Dil tutne ka gham nahin hai,
Ankhen yun hi nam nahin hain,

Wednesday, September 10, 2014
Topic(s) of this poem: humanity
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 10 September 2014

Aftab jab bhi nikalta hay insaniyat keliye ek azeem paigham lekar nikalta hay aur sari insaniyat uske paigham ko sunti hay samajhti hay aur ek nae jazbe ke sath din ke safar ka aghaz karti hay.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success