Conscience(Humsaya) Poem by Poonam Mehta

Conscience(Humsaya)

Gali ke mod par jo hua juda mujh se,
woh mera saya tha.
Jab kabhi chala mein galat rah par,
Roka usne mujhe banh pakad kar.

Na mana yadi mein,
kiya usne dar kinar mujhe.
Aur khayi yadi thokar jo meine
Toh saamne aa jataya usne….
"Mein na kehta tha..
Mere sang chalo,
kuch galat na hoga tumhara,
kabhi kuch bigdega na hamara
woh safar jo akele tae kiya tumne,
uthayee hai musibat tumne.
ab toh sambhal jao,
mujhme sma jao."

Mein raaton ko jagkar uthta hoon
use neend mein choone ke
bahane dhoondta hoo.
mujhse juda na phir mera saaya hoga.
Abse woh mera humsaya hoga.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success