Yaad aata hai mujhko
bhola sa bachapan
wo gavon ki galiyon
mein kanche ka khel
kabhi jeetna aur
kabhi haar jana
wo ladna jhagana aur
phir maan jana
Wo bargad ki chhaw
mein baatein banana
wo taalab ke paani
mein gotein lagana
Dadi ka raato mein
kisse sunana
wo pario ke sunder
nagar mein le jana
Baris mein kaagaz ki
nauka chalana, jugnoo
pakadna aur titli udana
nahi bhul sakata wo
bachapan ke din
n khud ki phikar thi n
auro ka gam.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem