Chha Gaya Wo…………………………………. Poem by sonali kumari

Chha Gaya Wo………………………………….



Jane koun hai wo, Jane kaha hai wo, khaab hote huye bhi, haqeekat lagta hai wo| kadi- kadi muchhon wala, tirchhi -tirchhi muskaano wala, lamba chauda kad hai jiska, kaale -kaale aankhon wala, chahu mai usse milna, chahu mai usse kuchh kehna, chahu mai uske baaton ki - gehrai me doobna| chahu mai ban pyaar, uski parchai banana | chahu mai uski yaadon- ki baarish me bheegna| nigahon me basa hai wo, fir bhi nazar aaye na wo| hai wo koi jaadugar, ya koi jaadu ka pitara, uski chahaton se bhar gaya, mere dil ka khali kamra| kahi se to aaye nazar, ye mere yaar tu kuchh to kar, ab aur is dil dil ko- mere tu bekarar n kar! ! ! ! ....................

Friday, July 25, 2014
Topic(s) of this poem: love and art
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success