Chatri Khol Aye Bande (Hindi) Poem by Anish Chouhan

Chatri Khol Aye Bande (Hindi)

Rating: 5.0


Pyaashi dharti, Vyakul,
bheeg jane ko hai,
Aasma me uthati dhalti kyariyan,
mohak sa chain lane ko hai.
Tej kirno me jhulasti ye bhumi,
pani me doob jane ko hai,
Chatri khol, aye bande,
Barish ka rukh aane ko hai.

Phoolon ne ki hai gujarish,
kun ab vo sookh jane ko hai,
Badalon me fir koi sapne hazar,
armaan naye lane ko hai.
Sawan ki masti me dil,
Unmaad se beh jane ko hai,
Chatri khol, aye bande,
Barish ka rukh aane ko hai.

Chahat bhari mehefil saji hai,
Uss se man behela jane ko hai,
Pyaar apni basant ki ek,
ummed bhari aas lane ko hai.
Saanso me koi nayi si mehek,
ab isme sama jane ko hai,
Chatri khol, aye bande,
Barish ka rukh aane ko hai.

Patton ki sukhi parat pe,
Bundon ki chamak cha jane ko hai,
Patjhad me akeli daaliyon par,
ek hariyaali lane ko hai,
Tadapte to bhavre bhi hai,
ab unki khwahish ji jane ko hai.
Chatri khol, aye bande,
Barish ka rukh aane ko hai.

Hawaaon ki disha kuch badlegi,
aman ki lalas aa jane ko hai,
Paani se bhare ye chote se dabke,
Roothe Bacho ka harsh fir lane ko hai,
Beego jo peheli barish me,
Bhav magna aakhen band ho jane ko hai,
Chatri khol, aye bande,
Barish ka rukh aane ko hai.

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
My hindi poem when i got wet in rain 1st time thinking about her, my special one.
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success