Chain Se Bhara Hua Kal... Poem by Khaja Shaik

Chain Se Bhara Hua Kal...

Chain se bhara hua kal, Sapnon bhara aangan dhundta hun,
Khush-hali ka bachpan, Ikhlas bhari zindagi dhundta hun,
Mere guzre hue daur ka, Sukoon bhara jahaan dhundta hun,
Nani ki kahaniyon mein suna, Mera gulistaan dhundta hun,

Kho gaya hun bhaagam-bhaag ke bhawandar mein, kuch is kadr,
Ho aayine se rubaru, Kash-ma-kash mein khud ko dhundta hun,
Desh ki azaadi ke is jashn mein, Ab apni azaadi dhundta hun,
Main ab apna jahaan dhundta hun,
Mujh se bichda mera jahaan dhundta hun! ! !

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success