Chahat Ya Nafrat Poem by Shrini Deewana

Chahat Ya Nafrat

Chahat ko apne nafrat ka naam na do sanam,
Mohabbat ko tera acchi tarah se jaante hai hum,
Koi waqt nahin kat thi tumhare bina hamare yaad ke,
Har pal har ghadi tere dil mein hi samaye rehate hai hum

Tumahare dil ki har dhadkan ko jaanta hoon mein,
Tumahre dil mein chupi har raaz ko pehachaanta hoon mein,
Jab mile the tab mile the humein tum ek ajnabi ki tarah,
Aaj sanam tumhein apni zindagi banake rakha hoon mein.

Mana sanam manzil meri paas nahin door hai lekin,
Pahunchna mere manzil tak namumkin nahin hai,
Mana aayegi kayee rukawatein mere raahon mein magar,
Sanam apne mohabbat itni kamzor nahin hai.

Yakeen hai mujhko ek din pahunchenge hum manzil tak apne,
Pure honge jo bhi hai hum dono ke jeevan ke saare sapne,
Jab milogi sanam tum mujhe milegi mujhe jeevan ki har khushi,
Mujhko hai apne mohabbat par yakeen yeh milan hoga is janam mein hi.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success