Chaand Suraj Ka Pyaar Poem by Shrini Deewana

Chaand Suraj Ka Pyaar

Agar chaand karne lage mohabbat suraj se to kya hoga,
Is dharti mein sada din hogi ya phir sada raat hi hoga?
Kis se hogi roshan yaaron yeh jahan apna,
Dharti par raj suraj ki garmi ka hoga ya chaand ki thandak ka hoga.

Kya hoga agar Milan chaand ka suraj se hoga,
Chaand mein aa jayegi garmi ya suraj thanda pad gaya hoga,
Kya hoga dharti ambar ka jab Milan chaand suraj ka hoga,
Kya is dharti mein phir kabhi koi amavas ya koi grahan hoga.

Chaand suraj to karishma hai kudrat ka yaaron,
Sabi ko yakeen hai in dono ki Milan kabhi nahin hoga,
Chaand to karti hai mohabbat suraj se zamane se magar,
Chaand to sada khush hai bas suraj ki kiron ko apnakar.

Yeh to jaanti hai chaand bhi ke uski Milan suraj se kabhi nahin hogi,
Phir bhi pagalon jaise pyaar karti hai woh suraj se sadiyon se,
Chaand to yeh jaanti hai ke suraj ki kirnen bhi uski nahin hogi,
Kirnon ko woh simet thi hai aur bhikar thi hai dharti ko roshan karne.

Pyaar is jag mein sabhi ka ho chaand suraj ki tarah,
Jis pyaar mein koi umeed ya phir koi chaha na ho,
Pyaar tumahara agar tumhein na mile to bhi kya,
Khush raho agar tumahare pyaar kisi ke kaam aa jaye.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success