Chaahe Raho Tum Jis Bhi Konaa, Poem by Aftab Alam

Chaahe Raho Tum Jis Bhi Konaa,

Rating: 5.0

Chaahe raho tum jis bhi konaa,
Insaaniyat ke liye ek to honaa,

Ye kaisaa jehaad ye kaisa rona,
Khoya hamne dharti kaa sonaa,
Ghut ghut kar ab nahi hai jeenaa,
Jihad kyaa hai darindo ko samjhaa donaa,
Chaahe raho tum jis bhi konaa,
Insaaniyat ke liye ek to honaa,

Maao kaa dukh, maao kaa ronaa,
Darindon ko ab to samjho naa,
Islaam se nahi inhe lenaa denaa,
Inse badaa nahi koii qaminaa,
Chaahe raho tum jis bhi konaa,
Insaaniyat ke liye ek to honaa,

Jo bhi kare saanth gaanth inse,
Unko bhi ab ukhaad feknaa,
Maasoomo kaa khoon roko bahnaa,
Ab aur kitnaa dukh hai sahnaa,
Chaahe raho tum jis bhi konaa,
Insaaniyat ke liye ek to honaa,

Wednesday, December 17, 2014
Topic(s) of this poem: poem
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success