Chaahe Jitni Bhi Dur Tum Jaao Poem by Aftab Alam

Chaahe Jitni Bhi Dur Tum Jaao

Rating: 5.0

Chaahe jitni bhi dur tum jaao,,
Khyalo se dur na jana kabhi,
Khwabo se dur na jana kabhi,

Sanso ke bandhan se bandhun,
Hoton ki chumban se chumun,
Hantho se tumhe dular karun,
AA tera main shringaar karun,
Na Rutho, na mujh ko rulaao,
Chaahe jitni bhi dur tum jaao,,
Khyalo se dur na jana kabhi,
Khwabo se dur na jana kabhi,

Chahe mujhko na pehchano,
Mujhko na tum apna jaano,
Main raat ki ankhon ki moti,
Suraj ko chhune ko roti,
Main simti simti bundon jaisi,
Mujhe gaalo se sahlaao

Chaahe jitni bhi dur tum jaao,,
Khyalo se dur na jana kabhi,
Khwabo se dur na jana kabhi

Monday, September 8, 2014
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 08 September 2014

Ek muhabbat bhari aarzoo ke woh khawabon aur kheyalon se door na jae, bahut khoobsoorat tasveer banai hay aftab ne jaise aasman per banne wali dhanak woh bhi to aftab hi banata hay.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success