Bigadte Halat Dekh Abh Bharosa Kahan Hota Hei Poem by Ritu Roy

Bigadte Halat Dekh Abh Bharosa Kahan Hota Hei

Bigadte halat dekh abh bharosa kahan hota hei
Sheesha ban ke mile sakhs aissa kahan hota hei

Naqab badal badal ke milte hei logg yanha pe roz
Aaj ka maajra phir bite kal ke jaisa kanha hota hei

Jazbat toe hazaron jama rakhe he dil ki zameen par
Lekin be-jazba-e-dil mein ye kharcha kanha hota he

Tang haath he aur kam hi uchalta samunder-e-dil
Yanha mohabbat jaisa abh hadsa kanha hota he

Mujhe naaz hei phir apni adna si tamana-e-wafa pe
Varna jahan mei zinda koi mujhsa kanha hota he

- Ritu Roy

Friday, April 25, 2014
Topic(s) of this poem: trust
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success