Bhaid Poem by iqtidar javed

Bhaid

Rating: 5.0

MeiN khud ko khairbaad keh kay
apnay aap say nikal paroN
hamaisha kay liy nikal paroN
meiN chal parooN
kisi maqam par meiN khud ko rok looN!

MeiN apni kainchli utar looN
ya khud ko maar looN
lazeez phal ko toR looN
ya dustbin meiN phiank dooN
hay maira ikhtiar khud pay in dinoN
bahut hay mairay jis o jaaN kay wastay
ik aadh tukra shehd meiN mila hua
ik aadh ghoont baasi pani ka bacha hua
mein raat kat looN sakoon say
ya jagta rahooN
uran khatolay mein safar karooN
ya khud uran meiN bharooN
palat kay apni khaat par
simat kay apnat aap meiN
nigahiN khol kar
meiN khud ko
apni phialti hudood say nikal looN
ya apnay saath apni baaqi zindagi guzar looN
miray wajood par hay maira ikhtayar in dinoN

MeiN khush hooN
meiN nay apna bhaid pa liya hay
meiN nay apnay aap ko sidha liya hay! ! !

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
iqtidar javed

iqtidar javed

Bashahpur Mandi Bahauddin Pakistan
Close
Error Success