Zindagi ko dard se saja rakhkha hai,
Ankhon me kai khwab saja rakhkha hai,
Jidhar dekho udhar sailab hai,
Iradon ko kashti bana rakhkha hai,
Sagar si zindagi aur iski lahren,
Chand ko mahboba bana rakhkha hai,
Kahne ko to main bhi ek Insaan hun,
Khud ko jo shaitaan bana rakhkha hai,
Naak chaahe jitni bhi lambi kyon na ho,
Allah ne anguthe ke brabar hi rakhkha hai,
Yun to main bhi chala tha janib-e-manzil,
Uljhano men khud ko fansa rakhkha hai,
Sitara-e-ghardish ka sahara le-lekar,
Apne aib ko yun kyon chhupa rakhkha hai,
Utho raat ke andhere men aur talash kar,
Unqarib ujala jo pankh faila rakhkha hai,
Ghaflaton men khone walon ki auqat kya,
Akhir rab ne bhi to jahanam bana rakhkha hai,
Bedar ho, jag jaa, khud ki pehchan kar,
Tumhare liye hi to jannat saja rakhkha hai
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Beautiful poem with fantastic lines....... Naak chaahe jitni bhi lambi kyon na ho, Allah ne anguthe ke brabar hi rakhkha hai, Bedar ho, jag jaa, khud ki pehchan kar, Tumhare liye hi to jannat saja rakhkha hai.....Loved the way you presented it.