Bayanein...Karbala Poem by ROSHANALI MOMIN

Bayanein...Karbala

Pusa maine karbala se kaun hai hussain.
Boli Karabala mera aka hai hussain

jiske ane se badal gayi fitrat meri
wahi nasle rasool hai hussain

jab wo aye meri agos main to
thar thara kar main Boli

ye kon hai jiske ane se
dugni ho gayi meri khusi.

pusa main ne karbala se kya dekha
Boli main kya batau maine kya dekha
mar kyon na gayi main isse pehle
rasul ke al par aya sitam pehle.

khudaya kya batavu woh kya manjar tha.
harek shai roti thi jab wo majar tha

maine akabar ko dekha asgar ko dekha
dekha kasim aur abbas ko or Husain ko dekha
Maine Bibyo ko dekha kanijo ko dekha
dekha baccho aur badoko al-atas kehte hue.

main sochti rahi kya karu aie khuda
muje mita de ye manjar se pehle
na dekh saku gi ye katelam - sahido ka
na dekh saku ki ye rona Biviyo ka
na dekh saku ye rona bachho ka
meri takat nai ki main kuch kar saku

simra(lanat Ho) ne chalaya jab khanjar mere husaain pe
main lahu ke katro ko sine pain lete hue roti rahi
Lekin main kuch na kar saki
Aye kuda main roti rahi...main roti rahi....main roti rahi....

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
I want to dedicate this poem to All martyers of Karbala.
COMMENTS OF THE POEM
Roshanali Momin 18 December 2012

really ocem creation at the begining level by roshanali

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success