Bat Ek Rat Ki Poem by Akhtar Jawad

Bat Ek Rat Ki

Rating: 4.9

Hawaon se aati hay khushboo tumhari,
Fizaon ne choomi hayn zulfein tumhari,
Sitaron mein keyun roshni barh rahi hay,
Chamakti hui hayn yeh aankhein tumhari.

Yeh keyun chand poora hua aaj ki shab,
Dopatta tumhara kahan kho geya hay,
Main sargoshian sun raha hoon chaman mein,
Yeh phoolon ne chupke se keya le liya hay.

Nazakat gulabon mein aiysi nahin thi,
Labon ki yeh surkhi barhi ja rahi hay,
Yeh dena yeh lena mujhe khal raha hay,
Nazar keyun tumhari jhuki ja rahi hay.

Yeh badal hay ya phir dopaata tumhara,
Yeh keyun bhhega bheega mujhe lag raha hay,
Yeh barsa hay jo dheema dheema gagan se,
Gulon ka paseena mujhe lag raha hay.

Nahin dekha jata main sab cheen loon ga,
Tu aiy chand badal mein chehra chupa le,
Bahut khoobsoorat hay hala ye tera,
Magar apne rukh ka yeh sehra chupa le.

Teri roshni ab mujhe chubh rahi hay,
Main bikhra ke zulfein andhera karoon ga,
Wuh kholegi pehloo mein aankhein jab apni,
Main is rat ka phir savera karoon ga.

Yeh devi jo fitrat ki itra rahi thi,
Yeh baithi hay keyun apni aankhein jhukaye,
Yeh sakit si dikhti hay keyun kayenat,
Kaha kisne tha tumse aankhein milaye.

Yeh mera kaleja hay nazrein milakar,
Tumhein dekh kar muskurata raha hoon,
Muhabbat ne bakhshi hay jurat kutch aisi,
Main khilwat mein bhi aata jata raha hoon.

Yeh fitrat kahin na chura le yeh joban,
Chali aao bahon mein tumko chupa loon,
Nazar lag na jae kahin tumko meri,
Main aariz pe kajal se ek til bana doon.

Mujhe roshni ki zaroorat nahin hay,
Andhere mein tum ek bikharti kiran ho,
Tumhi chandni ho tumhi kahkashan ho,
Ura de jo tan man tum aisi pawan ho.

Abhi subh hone mein baqi pahar hay,
Pila de mujhe jam ek aur saqi,
Wazoo kar ke aata hoon aanchal bicha de,
Namaze muhabbat ka hay waqt baqi.

Wednesday, November 19, 2014
Topic(s) of this poem: night
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Another description of the night that is still brighter than sun light.
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 20 November 2016

Enchanting portrayal of the charm of a night brilliantly personified. Thanks for sharing. I think I have also read its English translation. I quote a couple of beautiful lines as under: Abhi subh hone mein baqi pahar hay, Pila de mujhe jam ek aur saqi, Wazoo kar ke aata hoon aanchal bicha de, Namaze muhabbat ka hay waqt baqi.

0 0 Reply
M Asim Nehal 25 September 2015

Superb Nazm............Great imagery.....Maza aagaya Janab.

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 19 November 2014

An amazing imagery- - - - - - - 10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success