Baseraa Poem by Shrini Deewana

Baseraa

Is duniya mein har kisi ka ek basera hai,
Jaise chidiya ka ghosla mein basera hai,
Varsha ka badalon mein basera hai,
Mera to basera hai tere dil mein,
Ek tere siwa koi yahan na mera hai.

Saath suron mein mujhe aawaaz teri aati hai,
Indradhanush mein mujhe chehara teri nazar aati hai,
Tere naam ke saath hi juda hai sanam naam mera,
Ek tere siwa is jahan mein nahin hai koi kaam mera.

Woh jeevan jo mein pehale jee raha tha woh to be matlab tha,
Zindagi ka koi matlab bani hai tere jeevan mein aane ke baad,
Tu hai mere aankhon ka noor mere dil ka khuda,
Tere bina jeena yeh mein soch bhi nahin sakta.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success