Bachpan Ki Yaadein Poem by Ankit Gupta(ANSH)

Bachpan Ki Yaadein

Rating: 4.0


Bachpan ki yaadon me kho jaana chahta hun
Un yaadon ke sang aaj rona chahta hun
Wo mitti ke yaaron khilone banana
Wo galiyon me yaaron tyre chalana
Wo baarish me yaaron shor machana
Wo kagaj ki naav, mitti me dhanse hue wo gande paanv
Wo gudde gudian, wo garmi ki chuttian
Wo rabri malai, wo chacha ki sagai
Yaad karke yaaron aaj aankh bhar aai
Wo chota sa basta, wo tuti hui pencil
Mast thi yaaron wo bachpan ki cycle
Wo bachpan ke khel, apnihi masti
Apni bhi bhi thi yaaron abhi koi hasti
Bachpan ki yaadon me kho jaana chahta hun
Un yaadon ke sang aaj rona chahta hun

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success