Baazuon Ka Tilism Poem by Bharat Mehru

Baazuon Ka Tilism

Purvaiya ki baat johte
hare patte sookh gaye hein
chamkate hariyalpan ke vaade
khaariz kar gayein
aznabi havwaayein
JAL, pathreeli
diwaaro se takraata
apna aakar bhula baitha
AAG,
jo antas ki gahraayi me
aasan lagaaye baithi thi
jamte khoon me garmaaht ka
jatan karti thi
woh aag ab nira koyla
ban gayi hai
SHABD, jo kabhi ragon me
khoon ke saath bahte the
andhere me bhi dikhte the
shoro-gul me darkar
andhiyari daraaron me
chhup gaye hein
AAKASH, apne vistaaron
ke saath
swarg ke hone ka
yaqeen dilaata tha
billour sa mastak par
chhaya raha tha
ab faqat alanghya duri ka
aadesh ban baitha hai
PAHCHAAN, jo aankh me
chamak laati
chehre ko lal kar jati
woh ab
seena taane
apane hi maathe ko kuchlti
'bikne' ko chal padi hai
lekin ab bhi
salaamt hai
baazuon ka tilism
issi tilism se
soubhagya muskaata hai
issi se shram-bindu
sitaare bankar
dhruv taare ke saath-saath
sadiyon chamkte hein
yahi tilism marjaane par
shav ke mukh ko
anant aabha deta hai
tu utsav mana ki
iss nishthur sansaar me
baajuon ka tilism
bacha rah gaya hai
dekh, mausam zaroor
rootha hai
magar suraj apne ussi
aasan par biraaja
tum uthao apani kudaal
apana paathey
utaarlo chheenke se
attahaas karte aasmaan ki
theek jad me chot karo
dhele fod daalo
beej bote chalo
beej bote chalo
apne chaubare
shav bankar letne tak
baazuon ko jee bhar kar
machlne do
krida karne do
nissandeh ye
Ishwar ki ichchha hai
aur tumhari niyati hai
chahe parinaam
kuchh bhi ho.



Tilism=jaadu
Alaghya=jo laanghi n ja sake
Shram-bindu=pasine ki bunde
paathey=yaatra ka bhojan
attahaas=unchi hansi
Niyati=bhagya/honi

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success