Awareness Poem In Hindi By Deepak Kumar Deep Poem by Deepak Kumar deep

Awareness Poem In Hindi By Deepak Kumar Deep

Sadiyon se khamosh ye dharti
Pata dhoondh rahi hai insanon ka
Kash! Kahin koi mil jaye
Kya shahar hai ye veerano ka?

Dhadhak rahen hai dil par hoth hain band
Iltaza hai kuch kahne ki
Par! sari nakam koshish
Mai chala gaya tha mudon ke shahar me
The naam wahan gude huwe sunhare patthron par

Wo bebas the, chilla rahe the,
Ro rahe the apni lachari par
Zuban na thepaas unke, kuch kahne ko
Kyonki wo bebas the lachar the……
Jane laga jab wahan se main
Pukar rahi thi wo sari lashen mughe
Chilla chilla kar kar kah rahi thi-
Mat banna aise, jaise the mere karm
Yaad kar un baton ko, aati mughe abs harm
Banna tha jab narm mughe, huwa main narm
Andhvishwashon me ghira tha mera apna dharm….

Jao jakar bata do unko
Meri tarah hi unka hoga haal
Maine ta umernahi ki bhakti, sirf kiya dikhawa
Jo bana aaj ka sawal
Maine apna waqut gawaya, duniyawi such ko pane me
Shareer ko sajane me,
Imarte banana me,
Danga fasad karne karane me
Par zara bhi na diya dhyan
Manav jeevan sawarne me.

Murakhta aur pagalpan ki bhi had hoti hai
Maine samay ke satguru ko nahi pahchana
Sirf libas dekha, shaklon par dhokha khakar
Har yug me maine mara taana.

Main bhi kitna badnaseeb tha
Manjeel mere karib tha
Phir bhi daud raha tha paglon ki tarah
Wo waqut bhi kaisa ajeeb tha.
Khair! Min to apne kiye ki bhugat raha hoon
Par jao jakar kahna un ghamandi, ahankari, papai,
durachari, anachari, Vyabhichari, atyachari logon se

Kyon kar raha hai apne aap se gaddaari.
Kar le apne aapki pahchan
Kaun hai tu? Kya hai tera asthan?
Mat kar mat kar itna abhiman
Jana padega ek din shamshan
Jag me rahegi ek dastaan
Aur bhul jayenge tughe naadan
Mubarik hai tera achha khan paan
Neend se apne jag re Insaan
Main bhi teri hi tarah hi nadani kar baitha
Par tun na kar!
Ja satguru ki sharan
Kar de apne aapko arpan
Fir dekh! Tu yahan nahi aayega
Aur na hi churashi me jayega
Tun to seedha rab me mil jayega
Tera jeevan saphal ho jayega
Jakar mil le NIRANKARI BABA JI SE
Jo mufat me baat rahen hain gyan
Iss gyan ko pakar
Sewa simran satsang karke
Bhakti Ki dritha pa le
Phir dekh! Tu bhi Ram, Krishna, Gurunanak
Kabir, Tulsi, Hanuman ki tarah amar ho jayega

Jakar dekh satguru “deep” jala raha hai
Andhera mita raha hai
Savera la raha hai
Tub hi jag ja, jag ja

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success