Asha Poem by ramesh rai

Asha



Asha
Asha ka deep jalaya tha
Jivan sangram ko pane ka
Awshyakta bani janani
Naye naye awishkar lane ka
Phir uske pair pare dharati par
Dharti ne jab angrayee lee
Surya ki kirane prajwalit ki
Ashaon ki deep jali
Saat rango se saj gayee dharti
Nayee naweli dulhan jaisi
Kise pata tha nahi rukega
Manav ke badhte kadam

Ashaon ki abhilasha ko le
Badh chala manav pragati ke path par
Ruad diya prithvi ke aakul baksha ko
Phir umar pari dudh ki dhara
Bhane lagi dudh ki nadiyan
Tab manav ne apna abhishek kiya
Sunya se sunya ki or badhta manav
Kahin nahi vishram nirantar
Sudhh lalima liye aaya suraj
Jivan ka abhivadan karne
Kaun janata, kise pata tha'
Aayega aisa bhi ek din

COMMENTS OF THE POEM
Shaista Nigar 04 September 2012

Urdu language is stemmed out of Hindi n many other languages, so it's not difficult to understand this poem of yours...boht feel k sath likha he aap ne.....thx

0 0 Reply

nice hindi poem, i really don't see such poems here.a translation would help to those who can't read hindi though.

0 0 Reply
Neela Nath Das 31 March 2012

Asha i.e hope is like the ray of The Sun. In our worst days it helps us to think for the best.Apka yeh kavita mujhko achha laga.Nice poem!

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success