Architect Ghalib Poem by Talib Khundmiri

Architect Ghalib

Ek din ek ajnabi Ghalib se baithak mein mila
Aapne bhi muskurakar yeh sawal usse kiyaa
Naam kya hai aapka? Kahiye kahan se aaye hain?
Kya koi paighaam Jaana ki gali se laaye hain?

Ajnabi:
... Naam toh Abdul ghani hai qadardaan hoon aapka
Waise mai ek loota malik hoon kirana shop ka
Mai yahan aaya nahi naam-bari ke waastey!
Ya kisi mashookh ki saudagiri ke waastey!

Ghalib:
Oh! Gussa thukiye matlabb mera kuch aur tha
Mai zameen shaar ke baare mein mahve gaur tha
Khair yeh farmaiye kyun aapka aana hua?
Kisliye is benawa ko yaad farmana hua?

Ajnabi:
Maine sun rakha hai Ghalib admi hai kaam ke
Ghar ke nakhshe bhi bana sakte hain saste daam ke

Ghalib:
Haan Miya! Hum bhi kisi din waqaye they kaam ke
Maghbare bhi hum bana dete hain khaas wo aam ke
Ishq ne lekin hame yeksar nikamma kar diya!
Mubtilaye Dard-e-dil masroof-e-damma kar diya
Haath me rasha hai koi kaam kar Sakta nahi
Zuaf itna hai ke apna jaam Bhar sakta nahi

Ajnabi:
Khwah khuch ho yeh makaan toh aapse banwaonga!
Aapse nakhsha hi lekar ab yahan se jaaunga

Ghalib:
Aap ki zid hi chalo, hokar rahegi kaamyaab
Ban toh jayega koi nakhsha, magar pehle Janab
Fees mein khuch botalei whiskey ki mangwa dijiye
Saath koi sakhi naukhez bulwa dijiye
Aam ka mausam hai malgooba bahot marghub hai
Tokre unke faqt dus bees hi matloob hain
Ab Zara farmaiye nakhshe mein kya kya chahiye?
Kaunsi tamir ho kaisa namuna chahiye?

Ajnabi:
Dekhiye qibla! Mujhe kuch aisa nakhsha chahiye!
Jisko sab ahle jahan hairat se dekha chahiye!
Haan magar itna rahe(qa) malhoz qibla hoshmand
Be daro deewar ka ghar Mai nahi karta pasand
Yeh zamin par ho hawa ke dosh par hargis nahi
Warna phir yeh khwab ho sakta hai hargis nahi
Mere ghar ko inttt, gara aur chunna chahiye
Iltefat iske liye qibla ka dawna chahiye
Qoob gunjayish rahe deewan-khane ke liye
Ek kushadah hall ho mere zanane ke liye
Kamas kam hamam do rakhe nahane ke liye
Kuch Khula hissa rahe zulfein sukhane ke liye
Chaar ho bedroom kyunki chaar ke khabze mein hoon
Mai akela lashkare jarrar ke khabze mein hoon
Ho agar store mein bhi ek khidki khoob hai
Kyunki bazu ki makan walon ki ladki khoob hai
Phichle hisse mein kahi ek 'chor darwaza' rahe
Bus meri mehboob-e-nooh ko iska andaza rahe
Maine ek motor bhi khiston par khareedi hai janab
Dikha dijiye mujhe garage aisa lajawab
Car ke hamra jisme iska shofar bhi rahe
aath(8) bachche ek biwi aur dukhtar bhi rahe

Ghalib:
Theek hai! Ab aap thodi der thamiyega yahan
Mai abhi mauzo kiye deta hoon kagaz par makan.

Aur phir Ghalib zehn-e-fikr chamkane lage
Ek ghante baad hi phir usse farmane lage

Ghalib:
Lijiye sahab! Makan yeh aapka tayyar hai
Har sahulat isme hai Jo aapko darkar hai
Perspective hai yeh meri shauki tehreer ka
RCC perhan hai paikare tasveer ka
Is taraf bhi dekhiye yeh aapka bedroom hai
Khoobiyan kya kya hai isme apko Maloom hai
Maine rakhi jagah isme double bed ke liye
Khoob gunjayish hai upar aapke head ke liye
Yeh waranda hai tumari biwi ke wastey
Ek naya zindaan hai Goya khaidiyo ke waastey
Seediya balayi manzil ke hai misl-e-kehkashaan
Misl-e-dil mehraab hai palkon ke jaise khidkiyan
Ek baayein Baagh hai jashn-e-bahara ke liye
Ek swimming pool husn-e-neem arayaa ke liye
Ab Zara sa gaur baaton par meri farmaiye
Mai Jo kehta hoon decoration wahi karwaiye
Shabz shadab ki shatranjiyan bichwaiye
Chob sandal ki bani sab khidkiyan lagwaiye
Gesuein par pech wa qam ki chilmanein dalwaiyye
Surkhi lab ki yahan distempering karwaiye
Shab ko deewaro pe daag-e-dil lagaya kijiye
Phool bhi zakhmo ke maze-oon par sajaya kijiye
Air condition ho kamre toh aisa kijiye
Phepde ushshaq ke ceiling se latka dijiye
Ek din mein do dafa kijiye brush hamam ko
Kijiyega silgiri se flush hamam ko
Maintainence mein kabhi ghaflat yahan koi na ho
Warna phir aisi jageh rahiye jahan koi na ho......

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
By Janab Talib khundmiri sahab
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success