Apni Alag Duniya Hogi Poem by Shrini Deewana

Apni Alag Duniya Hogi



Aisa lagta hai barson beet gaye tumse baatein karke,
Na jaane tum kab aaogi aur mere dil ki tadap kab mitaogi,
Na jaane kab woh ghadi aayegi jab tumse baatein hogi,
Na jaane kab tumahare meethi aawaaz mere kaanon mein gunjegi.

Dil karta hai sanam jala doon mein saari duniya ko,
Duniya mein kuch bache to woh sirf hum dono sanam,
Tab tumhein apne baahon mein bhar loonga sanam,
Madhosh hokar khoob karoonga mein tumse pyaar sanam.

Yeh zaalim duniya kya jaane kitna mohabbat karta hoon mein tumse,
Yeh zaalim duniya kya jaane kitna marta hoon sanam mein tumpe,
Yeh duniya kabhi nahin samjhegi sanam mohabbat apni,
Aise zaalim duniya ki mujhe koi parwaha nahin hai sanam.

Mujhe jo chahiye woh hai saath tumhara jeevan bhar ka sanam,
Tumahare bin sanam ek pal bhi nahin jee payenge hum,
Dil karta hai bas tumhein is zaalim duniya se bhaga le jaoon sanam,
Is duniya se door ek alag duniya mein apna naya jahan basana hai sanam.

Apne us nayee duniya mein honge sirf hum dono sanam,
Jahan par koi rokh nahin hogi hum dono ke mohabbat ke sitam,
Jahan din raat mein bas karoonga tumse hi pyaar sitam,
Bas pyaar karte karte hum dono mar jaayenge ek duje ke bahon mein sanam.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success