Anokha Yeh Duniya Ka Mela Poem by Om Chawla

Anokha Yeh Duniya Ka Mela

Anokha yeh duniya ka mela
Bhaagam bhaag ka hai yeh rela
Anokha yeh duniya ka mela.

Lulhe langdey taangon wale
Ghisat-te ludak-te bhagan laagey
Kahan kidhar koi na sochay
Bhagan ki is hoad mein jaisey
Ek hi laksh hai, ek hi mudda
Tuu kyuon aagey main kyuon peechhey
Yeh duniya bhaagam bhaag ka rela
Anokha yeh duniya ka mela.

Jo tu aagey bhi ho jaiye
Tub bhi gar tu chain na paiye
Sare sukh suvidhain sadhan
Hawas aur badahti jaiyen
Rahat tujh ko de na paien
Teri khoj se tujhe bhatkaien
Laksh hein rahon mein bhaga
Manzil apni kaise paiye;
Yeh duniya bhaagam bhaag ka rela,
Anokha yeh duniya ka mela.

Jidhar bhi dekhon ik naya nazara
Har koi bandar sa laagey
Har koi apni ainth pe akdey
Koi na jaaney kis pal kya ho
Kab sab chhotey koi na jaaney
Kahey itna yatan lagaye
Vyarth aadambar vyarth lalsa
Kahey apna chaien ganwaye.
Yeh duniya bhaagam bhaag ka rela
Anokha yeh duniya ka mela.

Ik pal jo tu thum ke sochay
Kya paiya main ne kyuon main bhaaga
Kya laksh tha mera main kit bhaaga
Kya meri manzil, ik sawal hai yeh bhi
Main ne is aur kyoun na socha
Bus ik bheed ke saath chala main
Disha hein jo chalti jaiye
-Laakhon kandhey aapas mein takrate
-Dhakeltey ik dujay ko, yatan yeh
-Dooja girey, peechhay reh jaiye
-Laakhon ki iss bheed mein dekho
-Har koi kitna bai-bus aur akela
-TU BHI TANHA MAIN BHI AKELA.
-MAIN BHI TANHA TU BHI AKELA.
Yeh duniya bhaagam bhaag ka rela
Anokha yeh duniya ka mela.

Sunday, December 28, 2014
Topic(s) of this poem: contemporary
COMMENTS OF THE POEM
Geetha Jayakumar 07 January 2015

Aapki kavita bahuth pyaari hain. TU BHI TANHA MAIN BHI AKELA. -MAIN BHI TANHA TU BHI AKELA. Yeh duniya bhaagam bhaag ka rela Anokha yeh duniya ka mela. Beautiful poem. Loved reading each lines..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success