Ankahe Alfaaz! Poem by Geetha Jayakumar

Ankahe Alfaaz!

Rating: 5.0


Aapki har ankahe alfaaz pyaar ka izhaar kar rahe thae.
Aapka har drushya pyaar ka izhaar kar raha tha.
Jaise koi dil se utar kar aaya ho
Eaisa lag raha hai ki aap mere nazdeek ho
Per aapke alfaaz kahi door se
Kahin aur se udkar
Mere paas aayae ho.

Mujhe maloom hai pyaar ke alfaaz thae woh.
Aur eaisa lag raha tha mere liye he likhe gaye ho.
Mein mehsoos kar rahi thi.
Unko pehchhana bhale he mushkil tha
Per woh pyaar kae,
vyatha aur dukh kae alfaaz thae.

Unko padkar mein khush hui
Kyonki aap mujhe samajh rahe hain
Aabhari hoon mein aapki
Aap vaakai mein ek amulya ratn hai
Jitna mein aapko samajhti hoon
Yehi gunnvatta hai jo aap mein hain
Aap mere vichharon mein kai upper khade hain.
Mein aaradhna karthi hoon aapki.

Pyaar woh nahin aap jise chhahthe ho,
usse prapth karna jaroori ho....

Usse khona bhi pyaar hotha hai.
Doosre ki baath ko dhyan se sunna
Aur doosre ko samajhna bhi pyaar ka ek roop hai.
Usse haath se chood dena bhi pyaar ka ek roop hain.
Usse har drushtikon se dekhna bhi pyaar keh laatha hai.

Pyaar ke anek rang hothe hai
Aap jis rang se dekhna chhahthe ho
Us rang mein aap apne ko bhi payyenge.
Pyar ek eaisi cheejh hai jiska na koi roop hai na koi rang hai.
Pyaar ko toh hum nei he roop aur rang diya hain.

©ALL RIGHTS RESERVED BY GEETHA JAYAKUMAR 2014
© 2014.

Geetha Jayakumar.

Thursday, September 12, 2013
Topic(s) of this poem: poem
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
My english version is Untold words!
My hindi version is Ankahe Alfaaz!

This poem was first written in Hindi, later I converted into English..I wanted to bring all the emotions of first stanza Love,2nd stanza respect for understanding one,3rd stanza pain and understanding, pain of giving up the one you love..I wanted to come up with..I wanted to convey a message that love doesn't mean achieving it as it is universally accepted, i wanted to tell giving up love or sacrificing is also a form of love by not being selfish..

I am sorry if you feel that this was meant or targeted for anyone..
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 22 March 2017

Love has different colours You can paint love in any colours you want. Actually, Love has no shape nor any colours Its we give shape and colours. I read its English version as well, It's a nice painting of love.

0 0 Reply
Yasmin Khan 12 September 2013

Words unsaid are very beautiful and more memorable than the ones that are said.

0 0 Reply
Neela Nath Das 12 September 2013

Fabulous! Mujhe Hindi version vi bohut achha laga.Kya baat! !

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success