Alvida! Poem by Geetha Jayakumar

Alvida!

Rating: 5.0


Kai baar hum vida lethe hain apno say
Ek umeed hothi hai phir say milney ki
Lekin jab zindagi humsay ek hi bar alvida lethi hai
Toh yeh humari aakhri mulakhaat hokar reh jaathi hai.
Is zindagi say alvida kehney ka na koi gam hai na koi shikva.

Zindagi jiyo toh is tarah jiyo ki alvida kehney ka koi gam na ho
Agar mein aakhri alvida kahoon toh bhi,
khushi say mauth ko gale say laga loon.
Is zindagi say alvida kehney ka na koi gam hai na koi shikva.

Hum parwane ki tarah
Zindagi kay diye ki chaaron aur ghumthe rahthe hain
Aaj na koi dar hai jalkar marmit jaane ka.
Mauth humein pukkar kar toh dekhe.....
Hum daude chale aayengi tumhari aur parwane ki tarah.
Is zindagi say alvida kehney ka na koi gam na koi shikva.

Na koi khwaab hai humare dil mein
Na koi umang hai humare dil mein
Jise pura karne kay liya na hum taras rahe hain
Na humein khwaaf hai marne ki
Haan bas is zindagi ko jeene ka khwaaf hai
Is zindagi say alvida kehney ka na koi gam na koi shikva.

Kai bar uss mod per aa jaathe hain
Alvida kehne ka vakth he nahin mil paatha
Bas yehi toh paheli hai is zindagi ki.....
Is ajeeb kashmakash mein hum piskar reh jaathe hain!

English Version....Good Bye!

©ALL RIGHTS RESERVED BY GEETHA JAYAKUMAR 2014
©2014

COMMENTS OF THE POEM
Deepak Kumar Pattanayak 11 February 2014

The eternal truth in this poem you spelt out........Geetha..........sooner or latter we all have to say good bye............. so why scare..............

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 09 September 2014

Beauty of thoughts in charming words.

0 0 Reply
Akhtar Jawad 20 June 2014

Wah jiyo to aise jeyo ke maut gale laga kar ro pare, aur zindigi maut ki bebasi per hans pare.

0 0 Reply
Ramesh Rai 27 February 2014

Laajawab. Hum parwane ki tarah Zindagi kay diye ki chaaron aur ghumthe rahthe hain Aaj na koi dar hai jalkar marmit jaane ka. Mauth humein pukkar kar toh dekhe.....

0 0 Reply
Shahzia Batool 21 February 2014

(Zindagi jiyo toh is tarah jiyo ki alvida kehney ka koi gam na ho) inspirational!

0 0 Reply
Salini Nair 12 February 2014

madam i liked it..lines are so powerful

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success