Ali Akbar (As) Teray Poem by farhat zaidi

Ali Akbar (As) Teray

ALI AKBAR TERAY LASHAY KO OUTHAON KESAY
KATT GAEY BAZZU E ABBAS BOLAOUN KESAY

KESAY NAZAY KE ANNI KHANCHOUN TERAY SENAY SE
RAET ORR KHOO'N TERI ANKHOUN SE HATAUN KASAY

TOU NAY MAHNDI TOU MERAY LAAL LAGA LE LAKIN
TERI BARAAT KO KHAYMAY MAI LAY JAON KESAY

BANDH KAR TAHTUL HANAQ SHAH NAY AKBAR SE KAHA
TERI DULHAN KO TERA ZAKHM DEKHAON KESAY

EK BEMAAR HAI KHAMAY MAI YA MASTOOR HAIN KUCH
MARDD E WAHED BHE HAI BE HOSH BOLAON KESAY

RAKH KAY SAR ZANO PAY YEAH SHAH NAY AKBAR SE KAHA
TUJH KO DO GHOUNT MERAY LAAL PELAON KESAY

DALL DE BAHEN GALAY MAI AY MERAY LAKHT E JEGAR
HAI GARAM RAET BOHT SAYA BANAOUN KESAY

MUJH MAI HIMAT NAHI MOLA TERI GURBAT LEKHOUN
HALL KEA HAI MERAY DIL KA YEAH BATAOUN KESAY

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success