Achi Lagti Hai Tanhai..... Poem by panchii in the search of freedom

Achi Lagti Hai Tanhai.....



'tanhai' yeh lafz to tanha lagti hai
magar is mein bhi kai yaadon ki bhid hoti he.

khud ko kahti to yeh akeli hai
magar man ki dagar yahin khulti he.

isiliye..sayad isiliye yeh achi lagti hai
jahan yeh dil apna razz kholti he.

kabhi mithi yaadein to kabhi ruthe hue pal
kabhi namkeen batein to kabhi ulje hue yaar.

kabhi apni galation ka izhaar
kabhi kisi se banti he takraar.

isilye to yeh tanhai mujhe achi lagti hai
jahan mein aur meri tanhai kai baatein karte hain.

apne man ki awaaz sun pate hain
age ki zindegi jeena sikh pate hain.

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
my college takes 1 hour to reach from my home and i usually travel by city bus.during that period i feel lonely..but lots of thought came to my mind..and i started to analyse the term tanhai..one evening i was studying and suddenly i started with my pen and paper..all i end up with was my achi lagti hai tanhai..
COMMENTS OF THE POEM
S.zaynab Kamoonpuri 15 December 2013

Wah zabardast khoob umda shairi likhi! The philosophy n musings n thots dat come out of lonelines makes me crave solitude becoz of yor splendid poem. Behtereen khayalat in transliteration. One day i want to write one like u in my urdu. Pls coment my latest poem too.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success