Aazad-E-Hindustan... Poem by Tapashya Das Sinha

Aazad-E-Hindustan...

Rating: 2.8


The Azadi k wo din,
Sunhera sham
Aur
Din rangeen…
Dilon me tha pyar aur umang,
Tha wo ek anokha tarang…
Afsoss…
Aaj lage ye duniya
Kitni
Berang, berang aur berang…

Azadi k wo din,
Layatha sukoon bhara savera…
Per aaj hai wo din
Jaha charo oor hai
Dehshat ka andhera…
Dilaye ahesas
Hum aam janta hai
Kitne,
Behal, besahara…

The Azadi k wo din,
The wo amar jawan,
Jo chalaye the rakh kar
Apne chati per aag se bhara Kaman…
Per aaj hai wo din
Jaha karte apne log khud
Bharat ma ko neelam…


The azadi k wo din
Jab diye gaye the
Lakho kurbaniya…
Per aaj hai wo din
Jaha li ja rahi hai
Aapne swarth hetu,
Lakho kurbaniya…

Kyu hai log
Apne hi duniya me magan?
Jab suna parda hai desh ka aangan…
Kya yun hi vyarth jane de
Hum apna jeevan? ? ?

Keheneko duniya aazad hai,
Fir kyu
Aaj ki vardaaten
Eetni dardnak hai? ? ?
Kya iska koi jawab hai? ? ?

Kya din kya raat,
Keheneko rakshak sada jagte rehte,
Fir kyu
Ek peerdit
har din har raat
tardapte rehte? ? ?
kartoot gava hai
na ayega sukoon,
behta rahega khoon hi khoon! ! !
Jab tak hai dehshati junoon…
Susth na bano,
Nigahon se patti hatao
Aye mere Andha Kanoon! ! !

The wo azadi k din
Jab garda gaya
Ganatantra ka jhanda,
Buland hua Swatantrata ka parcham
Aur
Leheraya garv ka Tiranga…
Per aaj hai wo din
Jaha us Tirange ki koi laj na rakh paya
Jiske rangone jeevan shailee bataya…

Saab dekhne ko uthsukh
Ek chamakta heera,
Per aaj insaan
Dekhna to door,
Sochte tak nai
Kaun gira,
Kaun mara…
Log hai jan kar v aanjan
Kya hoti
Ek aurat ki dard aur peerda! ! !

Wo aazadi k din
Jab rahat k hawa the chale
Per aaj hai wo din
Jaha palkon tale
Shaitano ki toil hai pale,
To kahi,
Aatanki hamla bole! ! !
Kyu ek majbur,
Majburi orde zinda jale? ? ?
Kehte hai,
Raat chaye jab shaam dhale,
Savera khile jab raat dhale…
Jab kudrat apni rah chale,
To hum kyu
Annyaye bhrashtachar sehte rahe,
Aur
Deshdrohiyon k pairo tale piste rahe…
Aye mere nagrikon…
Hai ek veenitee
Kyu na hum
apne hi andar kuch acche badlav
late rahe…
taki pura brahmand
INCREDIBLE INDIA
Gaate rahe! ! !

Wo azadi k din
Wo azadi k rang,
Jo thi,
Wo rahega hamesha apne sang…
Hai nivedan apse,
Na karo
Is azadi k muskan ko bhang…
Do maan, karo samman
Jab duniya Garv se bole
AZAD-E-HINDUSTAN AZAD-E-HINDUSTAN AZAD-E-HINDUSTAN
Jay Hind! ! ! Jay Bharat! ! ! Jai Hindustan! ! !

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success