Aankhen Poem by Azhar Munir Bhatti

Aankhen

Rating: 2.5


Roshan Ankhen tumhari,
Mujhe apni taraf bulati hain
Dharakti hen, Chamakti hain
Mujhe ankhen dikhati hain

Hatheli ke Katoro mein
Inhen jo rakh k dekhun mein
Ghazal mujh ko nai yeh ik
Rawani se sunati hain

Kebhi jo daikhun in mein to
Mujhe apna benati hain

Ajab ik taur sa inka
Ajab ik tarz si inki
Salasat hai, matanat bhi
Muhabbat say bharay mujhko
Kai yeh khwab, dikhati hain

Mohabbat bhi hai gussa bhi
Rawani bhi, jawani bhi
Kahen yeh khwab bunti hain
Kahen pay aarzoo sari

Mat-e-Jaan kahun to bhi
Izterab berhta hai
Kahen na chain paun mein
Agar jo daikhun inko na

Kahen pe hai annai si
Kahen pe aashnai si
Dil ko jo kho dun main
Miley gi kuj adaai si

COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 09 June 2014

A nice poem. I liked it. Keep writing.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Azhar Munir Bhatti

Azhar Munir Bhatti

Khanpur (Katora) Punjab, Pakistan
Close
Error Success