Aaj Ki Raat Poem by Akhtar Jawad

Aaj Ki Raat

Rating: 4.9


Aaj ki raat ka unuwan Khamoshi hi rahe,
Main bhi khamosh hoon tumbhi yunhi khamosh raho,
Mujhko madhosh banaya hay to tumbhi aiy dost,
Aaj ki raat meri bahon mein madhosh raho.

Aaj ki raat ka unuwan Khamoshi hi rahe,
Aj ki raat na baton mein ganwao sathi,
Ankhon ankhon mein bhi ho jati hain baten kitni,
Apni nazren meri janib to uthao sathi.

Aaj ki raat ka unuwan Khamoshi hi rahe,
Mujhko peeney do chalakti huyee aankhon se zara,
Yun hi chupchap mere pehloo min shab bhar baitho,
Khelne do mujhe mehki huyee zulfon se zara.

Aaj ki raat ka unuwan Khamoshi hi rahe,
Kanpte hathon ko de bhi do mere hathon mein,
Aaj to barhte huye hath na pakro mere,
Sharm aati hay to chup jao meri bahon mein.

Aaj ki raat ka unuwan Khamoshi hi rahe,
Apni rangeen mulaqat adhoori na rahe,
Ab to ruswai ka dar hay na gunah ki uljhan,
Roohain jab mil chukeen jismon mei bhi doori na rahe.

Aaj ki raat ka unuwan Khamoshi hi rahe,
Hijr ke shikwe zaroori sahi kar len ge kabhi,
Sath rehne ki yeh qasmein to bahut hain khai,
Dawe kitne hain kiye aur bhi kar len ge kabhi.

Aaj ki raat ka unuwan Khamoshi hi rahe,
Zindagi itni musarrat se na gae gi kabhi,
Sans rukta haiy magar waqt nahin rukta hay,
Aaj ki rat na phir laut ke aaey gi kabhi.

Aaj ki raat ka unuwan Khamoshi hi rahe,
Ajnabi mujhse meri dost kisi taur nahin tum,
Aaj keyon mujhse jhijhakti ho barho meri taraf,
Meri dulhan ho meri jan koi aur nahin tum.

Saturday, April 12, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
The wedding night.
COMMENTS OF THE POEM
Khalid Saifullah 04 September 2016

A beautiful Urdu poem..............................................

0 0 Reply
Sonali Ganguly 01 May 2016

beautiful description of feelings.... sounds romantic

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 27 August 2014

Love does not need words, it has its own language, the body language.

1 0 Reply
Farhan Mirza 09 June 2014

Bitter sweet feeling, I like

1 0 Reply
Yasmin Khan 17 April 2014

Beautiful verse......silence is sometime eloquent!

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success